Saturday, October 23, 2010

Sufaid Jazeera.. Pehli Kahani...







                                                    Sufaid Jazeera
                    Writer:Naseem Hijjazi
(Is kitab ko likhnay ka muharrik puranay zamany ki 2 kahaniya hain
Naseem Hijjazi ne yeh novel ksi or peraye mein likha tha lekin Pakistan or Pakistan k mojooda halat ko dekthay huay mein yeh mehsoos krta hon keh jese yeh novel to hmaray lye hi likha geya tha.. is kahani k end pr BADSHAH jo alfaz kehta hay wo waqei boht tawajja k mustahiq hain.. ghor zrur kijiay ga.. )



Pehli kahani

Aik darwaish or us ka km_sin chela shehr se door kisi jungle mein rehtay thay.darvesh aam tor pr yad e Khuda mein masroof rehta tha or chela aas pas ki bastiyo se bheek mang kr us ki khidmat krta tha…
 Darvesh ka dil insaniyat say bhara hua tha wo subh sham sozo gudaz kay sath yeh dua kiya krta tha :

“Meray Parwardigar!   Mein aik be bus or be waseela insan hon or tere bandu ki koe khudmant nhi kr skta kekin agr tu mje badshad bana de to mein zindagi ka hr sans bhookay , nangay insanu ki khidmat k lye waqf kr du ga or mein yateemu , bewaou or nadaar logu ki sar parasti kru ga… ………”

Ghrz yeh keh wo har wo dua mangta jo keh mulk  k awam ki bhalai k lye hoti..

Km_sin chelay ko yaqeen tha keh kssi din murshid ki dua zrur suni jye gi or un k din phir jyein gy lekin waqt guzrta gyea.. chela jawan ho gya or nek dil darvesh  mein burhapay k aasar zahir honay lagay ..rafta rafta chelay k aitqad mein farq aanay laga.. yaha,n tk keh jb darvesh dua k lye hath uthata to wo us k qreeb baithnay ki bajaye chand qadam door bethta or dabi zban mein yeh dua shuru kr deta….

“Meray Parwardigar! Ab mera  murshid boorha ho chuka hay or is k bal sufaid ho chukay hain or dant jhar chukay hian beenaai jawab dey cuki hay or ab wo mujay tahkht ki bajayei qbr se ziaya qreeb dikhai deta hay…agr tujay aik nek dil aadmi ka badshsah bn,na pasnd nhi to mjay badshah  bna de.. mein edh rkta hon keh mera har kam apnay murshid ki khuwahishat k ult ho ga.. mein sidq e dil se yeh ehd krta hon keh  mein nadaru ko or ziyada nadar. Be basu ko or ziada be_bs or mazloomu ko or ziada mazloom bnaou ga.. mein choro or dako,ou ki sarparsti kru kga.. shurfa ko zaleel kru ga or razeelu ko izzat ki kursiyo pr bithaou ga. Mein rashi or bad diyanat ehlkaru k enam diya kru ga or mein masajid or madriso pr talay charha du ga or jaga jaga fahashi k adday qaim kru ga..
 Ibteda mein hoshiyar chela chup chup kr duayein kiya krta tha lekin ahista ahista us ka hosla barhta geya or kuch muddat k bad us ki yeh halat thi keh jb murshuid dua k lye hath uthata to wo us k qreeb hi buland awaz mein apni dua dohrani shuru kr deta or jb darvesh apnni aankhu mein aansu bhr kr yeh kehta keh mein agr badshah bn jaou to adl o insaf ka bol bala kru ga to chela qehqaha laga kr kehta keh mein agr badshah ban jaou to zulm or badi ka jhanda buland kru ga…

Ghrz chela hr wo dua mangta jo keh darvesh ki dua k ult hoti…

Darvesh  apnay chelay ko peet,ta bhi tha lekin chela apni riwayeti niazmandi ki bawajood
apnay muaqqif pr data rha…

Jis mulk mein wo rehtay thay us mulk ka badshah chal basa ro takht k kai dawedar samnay aa gay or aik dosray k khilaf talwarain sont k medan  mein aa gay. Door andesh wazeer ne rato rat tamam dawedaru ko jama kiya or aik tajweez pehsh ki keh ab mulk ko khana jangi se bachanay ki aik hi soorat reh gye hay keh shehr k tamam darwazay band kr dye jayein or alas,subh bahir se jo aadmi sb se pehlay mashriqi darwazay pr dastak de usay bad.shah tasleem kr liya jaye…
Yeh tajweez ba.ittefaq e raye manzoor kr li gye or yeh hua keh nek dil darvesh ka chela bheek mangnay k lye kisi choti moti basti ka rukh krnay ki bjaye mulk k darul kakoomat ki taraf ja nikla or poo phat,tay hi us ne shehr k mashriqi darwazy pr dastk di.. pehredaru ni darwaza khol kr usay salami di or umra usay aik jaloos ki shakal mein shahi mahel ki taraf lay gay…

Naye bad.shak  ne takht pr ronaq afroz hotyay hi yeh hukm jari kiya keh meri saltanat mein jitney darvesh, faqeer or sadhu hain unhain kisi takheer k baghair girifatr kr liya jye ….us k hukm ki tameel ki gye lekin khush qismati se naye bad,shah kay murshid ko kisi tarah ye pata chal gya us k  hoshiya chelay ki dua qabool ho gye hay or wo sarhad aboor kr gyea or dosray mulk chala geya….

Us ka bad jo hua wo kisi tashreeh ka mohtaj nhi.. naye bad.shad ne poori musta,eddi or diyanat dari k sath apnay tamam waday pooray kye .. Nehru ka pani band kr diya geya.. kuwain or talab ghalazat se bhr diye gay.. choru or dako,ou ko jehlu se nikal kr hakoomat ka krobar sonp diya geya or nek or Khuda parast insanu ko ebadat gahu se nikal kr jehlu mein thons diya gya…

Ghrz un Danish mandu ko sar chupanay k lye jaga nhi milti thi jinhu ne mulk ki bhalai k lye aik gadagar ko takhta pr bitha diya tha or jb naye bad.shad k mazalim apni inteha ko pohnch gay to awam k leadru ne us ka hasb nasab maloom krnay ki zarurat mehsoos ki or sabiq wazeer ki qeyadat mein aik wafd talsh bisyar k baad badshah k murshid ki khidmat mein hazir hua or us se fryad ki keh Khuda k lye hme is balay e nagehani se nijata dilayei…

Umr raseeda darwesh apnay chelay k samnay janay se ghbrata tha lekin arkaan e wafd ki girya o zari se mutasir ho kr wo khtra mol lene pr aamada ho gya..
Jb wo drbar mein hazir hua to bad.shad salamat ko apanay peer o murshid ki tarf dekhtay hi apna mazi yaad aa geya or us ne mar,oobiyat kay ehsas se maghloob ho kr kaha, “peer o mushid frmaye mein aap ki kiya khidmat kr sskta hon?

Derwesh ne kaha:”mein apnay lye kuch nhi mangta.. mein sirf  tme re,aaya k lye rehm ki appeal krnay aya hon.. tm iqtedar k nashay mein wo zamana bhol gay ho jb dar dar bheek managa krnatay thay.. ..Khuda say dro..yeh dunya fani hay.. or agr ho skay to mot se pehlay neki ka koe kam kr lo..”

bad.shad ne talkh ho kr jawab diya…” dekahiye qibla! Aap meri quwwat e bardasht k emtehan lenay ki koshsih na krao or aap ki ye khush qismati hay keh  aap meray murshid hain or mein aap pr hath daltay huay ghabrahat mehsoos krta hon.. aap mjay je bhr k galiya de sktay hain lekin  Khuda k lye in logu k sath kisi neki ka mashwara na dain.. aap ko yad hay keh hm dono aik waqt mein yeh dua manga krty thay prh kya waja keh aap ki dua qabool na hui or qudrat ne mjay bad.shad bna diya?.. agr in logu k aamal thek hotay or qudrat ko in ki bhalai maqsood hoti to aap in k bad.shad bnty lekin yeh bad,bakht thay. Inhain achy buray ki tameez na thi or qudrat ne in ki bad aamaliyo ki saza denay k lye mje bad.shad bna diya.. ab mein martay dam tk apna program poora krta rhu ga or agr qudrat ko in ki girya o zari pr rehm aa jye or meri zindagi k din pooray ho jyein to or bat hay wrna meri taraf se kotahi nhi ho gi…”

Nek dil derwaish ne jawab diya.. “ barkhudar tm thek kehtay ho . agr yeh log qudrat ki tarf se kisi enam ya be behtar salook k mustahiq hotay to meri umr bhar ki duayein rai,ga na jatein yeh log jinhu ne meray bajayei tmharay sar pr taaj rakh diya hay is qabil nhi keh  in pr rehm kiya jaye.. tm shoq se apna kam jari rakho.. “

Friday, October 22, 2010

Last Episode...





                                                               Last Episode


Tail (oil) mein chupray Baal(hair),side se nikali hui maang, surmay se bhari aankhain, sada say kapray..
Ye hain thal k log… thal ki zban mein Punjabi or Saraiki dono ka mza hay…
Mein un ko call krnay lga jin ki shadi mein shirkat krni thi… lekin signals kay problem ki wja say call bar bar cut jati thi…

mein isi koshish mein masroof tha keh awaz i… Maasi aala kyo preshan ho? (Khala kay betay kyo preshan ho).. jis trha hm czn kehtay hain ya phr dost kehtay hain waha,n pr rishtay ka naam le kr pukara jata hay or jo na waqif hotay hain un ko maasi aala keh kr pukaray jata hay zyada tar.. wrna PHUPHI AALA, CHACHI AALA bhi aam alfaz hain waha,n pr… ye un Noor Pur k pur khaloos logu kay Khaloos ki aik halki si jhalak hay…

mene us ko btaya keh yeh msla hay to us ne muj se pocha keh kon sim use kr rhay ho.. mene kaha Ufone(ufone.. Tm hi to ho..jis ki wja say mein khwar ho rha hon) to us ne apna cell mje diya keh yaha mobilink chalta hay… mene us k cell se call milai,, mill gai,,, to waqif jin ka naam Abdulhaq tha ( or abi tk hay) ne call attend ki…bolay kahan ho.. mene kaha adday pr.. kehtay keh HAMZA medical store pr chaly jao or waha,n wait kro mein bike bhejta hon… mene kaha thek hay… mbl mene Maasi Walay ko wapis kr diya or us se us ka Cell No. manga.. jo keh us ne de diya.. mene sath hi aik mbl ki shop se us ko credit send kr diya…. Kyo keh agr mein us ko brah_e_rast pese pakrata to wo isay apni toheen smjta… mein dukan se nikla hi tha keh wo phr hazir ho gya… us ka nam Asghar tha..
Asghar: Tusa A Kay Zyati Keeti Hay? ( aap ne ya kya zyadti ki hai)…
Mein: kya hua?( Mein jan bojh kr anjan bn gya)
Asghar: Tusa men balanca kyo ghalleya? ( aap ne mje balance kyo bheja)
Mein: yar mene to koe balance nhi bheja tme? Tme ghalt fehmi ho gy ho gi… ( mje mjbooran jhoot bolna pra nhi to wo bnda mje pese deta balance kay tb chorta)..
Asghar: tusi perdesi ho is wastay mein tuadi gal da yaqeen kr ghinda,n nhi ta men shak tuaday tay hay.. ( aap perdesi ho is lye mein aap ki bat ka yaqeen kr leta hon nhi to mje shak aap pr hay)..
Mein us say galay mila or us ko Allah Hafiz keh kr aagay barh gya kyo keh mein ab mzeed jhoot bolnay k chakar mein bilkul nhi tha…

abi thora hi aagay gya tha to dekha keh aik sahib ka right hand tha hi nhi or wo pikoray tal rhay thay… meray pait ne bhi ehtejaj krna shuru kr diya kyo keh lunch kiya nhi hua tha is lye mene us se pikoray lay lye or kya mazay dar pikoray thay woh.. mein bta nhi skta… shayad us shakhs k dosray hath ka taste bhi us k aik hi hath mein muntaqil ho gya tha….  Allah ki hikmat hay keh ksi mein agr koe Aib hota hay to us mein koe na koe khas khoobi bhi zrur hoti hay…
Mein aagay gya to 4 medical stores sath sath hi thay… or un medical stores kay samnay Thal ki Famous Mithai White Laddu bnaye jar hay thay… ye hotay to Khastay( Pink color ka laddu jo keh dehatu mein aam paye jatay hain) ki trha hain lekin in pr cream ki teh charhai jati hay jis ki wja se in ka color white ho jata hay or Thal kay logu ki khas sweet hay ye white laddu…

Mene namkeen( Pikoru) kay baad meethay ki sunnat pr amal krna munsib smja or 3 taza taza laddu nosh frma geya… woh bhi boht tasety thay…
mene dukandar se pocha keh Hamza Medical store kidar hay?
Dukandar jo keh drmeyani umr ka tha bola..: puttar mein te kadi sunya e nai aa naa? (beta ye nam to mene pehlay nhi suna)
Mein un ka shukriya ada kr k jese hi wapis mura meri hansi nikla gy… Hamza medical store us ki dukan kay bilkul samnay hi tha…
Mene dukandar se pocha keh ye kon sa medical store hay to kehna laga keh ye to Haji Ashraf ka sotre hay…
Mein: yehi to Hamza medical sotre hay.
Dukandar: pta nai puttar saray haji sahib da e aadhay hin… ( pta nhi beta saray haji sahib ka hi kehtay hain)..
Mene dukandar ka shukriya ada kiya or medical store mein dakhil ho gya… aik larka kisi mareeza ko injection lga rha tha… mene baad mein us se pocha to kehnay lga keh metric pas hon or Haji sahib ne mje ye sb sikhaya hay…  mje Haji sahib ki qabliyat pr bhi shk tha pr aik to mein un ka mehman tha or 2sra yeh pooray Pakistan ka masla hay keh hamray mulk ka har idara NEEM HAKEEMO ki grift mein aya hua hay siwaye Pak Army kay…
Kafi der intezar kay baad aik 125 store kay bahir aa kr ruka.. us se jo shakhs utray wo meray lye na_waqif thay.. bahrhal wo wohi thay jin kay sath mene aagay ka safar krna tha.. (aagay k safar se murad yeh keh shadi walay ghr tk ka safr…. mulkul mot nhi thay wo)…
Rastay mein un say gap lagi… un ka name Iltaf tha young se thay or wo aik Government k training School k principal thay. Rastay min un se kafi batain hui… batu ko chorain mein to un k bike chalany ki wja say heran tha… thal mein choo,k rait hi rait hoti hay is lye waha cycle ka to tasawur bhi nh kiya ja skta… mein shehr ki nhi dera jat ki bat kr rha hon.. shehr mein to kafi facilities hain lekin shehr kay aas pas jo elaqay  hain waha,n pr cycle use nhi ki ja skti… altaf bhai ki hi himat thi keh wo 125 ko full speed mein bhagatay huay lay ja rhay thay or sath control bhi kr rhay thay kyo keh bike sath sath slip bhi ho rhi thi rait pr.. or mje fikr thi to sirf  itni keh girnay ki soorat mein meary kapray khrab ho jyein gay ya Khuda na khwasta meray jism ka koe hissa bike kay neecahy aa jye ga wrna mje chot ki koe prwah nhi thi,,rait thi na har tarf…
mein soch rha tha keh pehlay rait ka jahaz camel ko kaha jata tha or ab 125 ko bhi kaha ja skta hay.. kam power k engine  walay bikes bhi yaha,n kamyab nhi hain….rastay mein aik jga kuch ziada hi slip lgi to hm jo keh west mein ja rhay thay hmaray rukh north ko ho gya.. action movie wala stunt tha wo bhi…
jese tesay kr kay waha,n pohncha… sb se pehlay waha,n un sahiban ko mila jin ki shadi pr aya tha pr dono dulhay bhaiyo se mulaqat hoi.. dono ki shadi ikathi hi ho rhi thi.. 2nu ne silk ki red shawls oorh rakhi thein.. jese sardiyo mein lokar ki jati hay.. or sath mein un k aik KHOONDI( lathi type hoti hay ye.. jese keh bazurg hazrat kay hath mein hoti hay… farq ye hota hay keh wo wood ki hoti hay or ye lohay ki)… isay Punjabi mein KHOONDI kaha jata hay(urdu mein LATHI).. is ka maqsad ye hota hay keh dulha bad nazar se mehfooz rahay….
Is khoondi ka aik or dilchasp khel hota hay… pehli bat to yeh keh har dulha kay sath kam se km 3 SHAHBALAY hotay hain… wo is khoondi ko apnay pas rakhtay hain.. ab dulha or shahbala kay elawa shadi mein jitney log hotay hain wo isi koshish mein hotaya hein keh kisi tareeqay say is khoondi ko hasil kr liya jye… kbi wo maintain krtay hain to kbi koe heela krtay hain,.. kyo keh jo is khoondi ko un se hasil kr leta hay wo apni marzi ki koe shay us se wasool krta hay jis k pas khoondi hoti hay… or usay deni prti hay.. is lye baaz oqat to jis k pas khoondi hoti hay wo sota hi nhi hay… bara maza aata hay..  mene bhi try ki lekin na je.. L…..
Mein sb se mil kr nahanay k lye chala gya.. fresh ho kr aya to khanay khaya geya or phr kuch der mein dheru dost ban chukay thay jin kay sath batu mein waqt ka pta hi nhi chala or rat kay 12 ho gay… itnay mein aik bazurg ne kaha keh ab so jao sb.. to hmarai mehfil barkhwast ho gye or hm chalay gay sonay.. new jaga pr nened km hi aati hy. Mein charpai pr leta or apni the best night ko enjoy krnay lga.

bilkul saf aasaman. aasman taru se full.. door door tk taray hi taray….roshan.. timtimatay huay…jese aasaman pr in taru ko undail diya gya ho.... or chanda mamu baray fakhar se apni chandni undail rhy thay aasman pr.... mein in taru or chand mein kho geya or achanak meri mehwiyat us waqt tooti jb mene bansuri ki awaz suni…  or  mein kho geya us bansuri ki awaz mein.. na janay kia tha keh khud ba khud aankhu se aansu nikalnay lagay…suna tha keh saz ka ta.alluq instrument k sath nhi us k bajanay walay k sath hota hay or mein is ka practically muzahira dekh rha tha…. ajeeb time tha wo bhi…jese saray mahol pr kisi ne sehr kr diya ho. waqt ruk gya ho..  bs 3 hi cheezain hon.. taru bhara aasman…roshni lutata chand…. ya phir bansuri ki awaz…

Mein utha or us tarf chal diya ya shayad us bansuri ki awaz ne apni taraf khech liya… dekha to aik andazan 35 se 40 ki drmayni age ka aadmi nehayat mehviyat k sath har cheez se be_niyaz bansuri se mahol ko madhosh kr rha tha khud to wo tha hi mad,hosh… thal ki moseeqi ka aik song tha… mene nusrat fateh ali khan ki awaz mein bhi suna pr is bansuri k sath or live sun,nay ka maza hi or tha….
A ATHRA ISHQ NAI SON DENDA, SARI RAAT  JAGAI RAKHDA A
(ye shararti ishq sonay nhi deta.. sari rat jaga kr rakhta hay)…
Shayad usay bhi ksi k  ishq ne jagaya hua tha…. Thori der baad us ne ye SEHR phoonkna band kiya or kapray jharta hua khara ho gya…
mene pocha chacha je tuan kis de ishq jagaya hoya a…( aap ko kis k ishq ne jagaya hua hay)…
wo jese khud say hi hm kalam hua or bola…. Ishaq jisday nal v hovay, jaga k rakhda a.. ishq te nender di dushmani babay aadam tu lay kay qemayat tk rahsi… wanj tu sain wanj…( ishq jis k sath bhi ho, jaga kr rakhta hay. Ishq or nend ki dushmani hazrat aadam se lay kr qeyamat tk chalay gi…jao tm so jao)
or phr mje smj nhi i keh mein kese charpai tk pohncha…
subh utha to mein us jaga pr geya jahan se mene awaz suni or mein heran tha keh mene itna fasla kese tay kr liya..medani elaqay miein shayad wo fasla ziada na ho lekin retalay elaqay mein meray jese bnday k lye chalna bhi asan nhi hota… shayad mje ishq ka sabaq milna tha is lye. Mgr kyo…mein hi kyo… or isi kyo ka jwb ka jwb to insan ko uljha deta hay… isi kyo kay hi saray maslay hain .. mein bhi is maslay mein abi tk uljha hua hon..kehtay hain taqdeer ka koe kam muslehat se khali nhi hota to na janay kon si hikmat thi meray liye is sabaq mein….??????????????????????????bahrhal jo bhi tha kisi afasnvi novel ki trha hi mehsoos hua or ab bhi koe sapna hi lagta hay mje wo sb.. pr wo haqeeqat thi….
Aglay din shadi ki taqreebat shuru hui,n… shadi mein koe dhol wagera nhi thay kyo keh kuch din qabl sath walay deray pr koe fotgi hui thi to us ki wja say dhol waghera ka ehtemam nhi kiya gya tha… ye aik or misal hay un sada logu k bhai charay ki nhi to mein un logu se bhi waqif hon jin ko apnay  prosi ka naam tk nhi maloom or wo aik dosray k sath 10 saalu se reh rhay hain,, kia aap yaqeen krain gay.. nhi na..  pr krna prta hay.. ye isi dunya ki batain..
Bahrhal shadi ki taqreebat se farigh ho kr wapisi 2 bjay kay waqt hui.. sb se mila or wapsi k lye rawana ho geya… wapsi ka safar taractor pr hua……  adday pr pohncha… gari mein betha or 3 ghntay k safar ka baad apnay joharabad  k aaday pr tha lekin is wapsi k safar mein meray sath wo bazurg nhi thay jin ki goad mein un k jitna hi pota tha….

Wednesday, September 29, 2010

Noor Pur Thal......... Episode # 2



Gari mein betha hi tha or ye soch kr betha tha keh QUDRAT KAY JITNAY BHI HASEEN NAZARAY hain un ko apni aankhu mein samo lu ga kyo keh ho skta hay waha,n pr ese cheezain na milain dekhnay ko is lye mein pooray ghor se ird gird ka MUSHAHIDA knay lga or sath saht SUBHANALLAH ka wird bhi jari rakha…
*Mard Hazrat is wird ko khoob smjtay hain…

Abi mushahida krnay mein busy hi tha keh mobile ki ring tone ne Wird mein khalal dal diya..dekha to mbl ki screen pr likha tha YA ALLAH KHER… aap bhi soch rhay hon gay keh kafi ajeeb nam se number save kiya hua hay is ne, lekin raaz ki baat yeh hay keh wo call walid sahib ki taraf se thi. Or ye nam is lye rakha kyo keh walid sahib mje call boht km hi krtay hain or jb bhi krty hain koe dhamaka khez khabar hi hoti hay… (walid sahib ko bhi pta hay keh mene is nam se un ka num feed kiya hua hay)

Drtay drtay call rcv ki to walid sahib frmanay lgay…

Dad: Ghr wapis aa jao….kyo keh Noor Pur se Rahdari( ye us elaqay ka nam hay jaha,n mene jana tha or ye caste hoti hay) k lye jo wagon milti hay us ka last time 4:00PM hay or tm nhi pohnch sko gay…

Mein: abu mein sari kashtiya jala kr nikla hon is lye mein wapis nhi aa rha or gari mein seat pr behta hon ( or qudrat kay haseen nazaru ko dekh rha hon *pr kaha nhi) …
Meri is bat pr walid sahib ne kuch na_zeba alfaz use kiye or call kat di.. hala,k na_zeba ka mtlb ye nhi hay keh unhu ne Allah maaf kray gali di ho bal,k wo kuch technical kisam k alfaz hotay hain jo keh walid sahib meri shan mein aksar irshad frmatay rehtay hain hisb_e_zrurat…. Or agr walid sahib ye alfaz use na krain din mein km se km aik bar to mje shak prnay lagta hay keh ye meray walid nhi hain.. or ye alfaz aap ko bta to deta lekin mein apni koe kmzori Dushmanu oh sorry mera matlb hay keh Batool or us k group ko nhi dena chahta..

Thori der baad hi gari start hui.. gari HIACE thi.. wo choti wali DIBBIYA si gari.. mein right side walie corner ki seat pr tha….meray sath wali aik seat khali thi.. jese hi gari harkat mein i to aik bazurg bhi harkat mein aye or peechay se phalang kr meri sath wali seat pr aa kr beth gay(jinhu ne HIACE kay safar ka mza chakha hay wo khoob jantay hon gay keh last seat walay passengers kesay utartay or charhtay hain).bazurg bethay hi thay keh unhu ne Rola dal diya keh mera pota bhi meray sath hay wo samnay khara hay.. mene bhi udhr hi dekha to mje koe pota nzr na aya. Lekin aik muj se koe 3,4 sal chota jwan jahan larka nzr aya(mein smja keh koe 3,4 sal ka bacha ho ga) jo keh pta nhi kis trha se sawar hua or apnay dada ki GOADI mein beth gya…. Conductor ne bazurg ko kaha keh hm isay seat de detay hain to bazurg bolay nhi ye meray sath hi jye ga… ab becharay potay ka hal ye tha keh us ka sir chat pr lag rha tha is lye wo jhuk kr betha tha or neechay say DADA ABBU ki instruction k mutabiq apni directions change kr rha tha jis se mje sakht tension ho rhi thi…mje pta chal gya tha keh is SAFAR ko SUFFER krna prya ga…..Pr mein apni adat k khilaf chup hi rha…


Gari jese hi rawana hui mera mind bhi AUTO pr fix ho gya… kyo keh safar mein hmesha aik to mein window wali side bethta hon ta k bahir k nazaray dekh sku or phr sochu ka tasalsul shuru ho jata hay… kbi koe soch mazi ki kbi koe soch… kbi bachpan udas kr jata hay to kbi bachpan ki koe shararat hansi le aati hay…to isi liye kaha keh mera mind AUTO pr fix ho jata hay keh bahir k nazary bhi or sochain bhi khud ba khud chalti rehti hain…


Mosam thora garm tha lekin bht zyada grmi nhi thi…


Meray zehn mein pehli soch jo i wo 9 sal pehlay ki thi jb hm poori family Noor Pur Thal ki aik or sub city SIDHA(urdu mein SEEDHA) gay thay…us waqt bhi kafi enjoy kiya tha..us time ka aik special waqea meray zehn mein ab bhi hay or ab bhi kbi kbar ghar walay us ko yad kr bethtay hain .. hua yeh keh mera chota bhai Abdullah un dinu 2 sal ka tha or jaha,n ham gay thay un ki aik bchi bhi 2 sal ki hi thi… Sardiyo k din thay.. Barat Raat kay waqt Sidha say Rahdari(jaha,n ab mein gya) jani thi… ab Abdullah or us choti jis ka nam Mishal hay ko aik hi bari si charpai pr lita diya gya kyo keh dono so rhay thay(un dinu mein bhi SIDHA mein light nhi pohchi thi or ab bhi nhi hay).… jb barat ki rawangi ka waqt aya to Mishal k abu ne Mishal ko uthaya or sath lay gay… Meri ami nhi gyein thein barat k sath lekin wo us time udr nhi thein jb Mishal k abu ne usy uthaya tha to… jb barat rawana ho gy to aadhay ghntay baad Abdullah ne rona shuru kr diya.ami heran reh gyein k Abdullah ki awaz ko kya ho gya hay.. ami ne dekha to wo Mishal thi or Abdullah Rahdari pohnch chukka tha…


Noor pur kay baray mein aap ko btata chalu keh Pakistan ka sb se bra Sehra “THAR” hay jo keh Sindh mein hay or Multan side pr bhi hay… phr 2sray number pr THAL hay… Noor Pur Thal bhi isi ka aik hissa hay.. Noor Pur Main city hay jb keh is k sath choti choti mzeed cities hain jin ko aap sub_cities keh lain… jese keh Sidha, Rahdari. Peelo vaince etc… Pakistan ka Main Atomic Power Plant bhi isi jga hay or jahan hay us jga ka nam RODA hay…. Noor Pur ka elaqa District Khushab mein aata hay lekin Noor Pur aik Tehseel bhi hay…


Abhi isi soch mein gum hi tha keh driver ne song lga diya SAJNA NE PHUL MAREYA(Sajan Ne Phool Mara)…. Ye Thal kay hi local singer ka song tha or us lehjay mein nhi tha jis mein ye song mash,hoor hay lekin bra hi zbrdst tha.. mein sochnay lga keh Thal mein PHOOL kaha,n,,,waha,n to sirf Kaantay hotay hain…. To phr Thal kay SAJAN kya martay hon gay aik dosray ko????????


Soch ka rukh aik bar phr change hua to mein sochnay lga keh gari or zindagi mein koe fark nhi hota… gari bhi zindagi ki trha hi hoti hay.. musafir apni bari pr aatay hain, safar guzartay hain or manzil pr utar jatay hain…

Phr dimagh ne kaha nhi yar Mustafa gari ruk jye to phr chal prti hay pr zindagi………….

Inhi sochu mein gum gari ne aik morr kata or jese sara manzar hi badal gya…morr se pehlay haray bharay darakht thay or morr kay baad door tk rait hi rait… or kahi door darakhtu kay jhund…jese ikathay ho kr aik dosray ki tanhai ko door krnay ki koshish kr rhay hon… dimagh ne phr Tahoka (Narm sa Jhatka) diya keh zindagi mein bhi to isi trha kay morr aatay hain achanak hi jo zindagi ko change kr detay hain.. bnda kya hota hay or kya ho jata hay? (is safar mein shayad ZINDAGI sawar thi meray mind mein)…


Thal ki aik khas baat ye hoti hay keh yaha,n ka mosam bra hi ajeeb hota hay… aap din mein ayein yaha,n pr garmiyo,n mein to thanday ilaqay k log to wese hi be_hosh ho jyein kyo keh jb rati tapti hay to phr har taraf inteha ki grmi ho jati hay lekin phr jab rat hoti hay to itni thand hoti hay keh razai k baghair bnda so bhi nhi skta chahay jitni bhi grmi kyo na ho din mein….


Or phr sehra ki raat…. Oh meray Khuda…. Meray pas alfaz nhi hain sehra ki raat ko byan knay kay…. Aasman saaf ho to phr taray hi taray… dheru dher taray… Twinkle Twinkle Little Stars.. hm to aasman ko thek se dekh bhi nhi patay keh kahi na kahi koe building aa jati hay…..Sehra mein aasman ka mza hi or hota hay…. Mene 9 sal pehle dekhi thi sehra ki raat lekin abi tk mein us kay sehar se nikal nhi paya…


Rastay mein 1,2 jagah gari ruki.. musafir utray,kuch charhay or aakhir kar hm pohnch gay Noor Pur… lekin yeh kya… time dekha to 4:30PM ho rhay thay… yani keh mein Aadha Ghanta late ho chukka tha or samnay Pan Shop pr song chal rha tha Atta Ullah Sahib ka(Famous singer of Pakistan belongs to Mianwali)


Tusa Watna Walay Ki Jano, Ki Honday Nay Dukh Perdesiya De..

(Tm Watan Walay Kya Jano Keh Bahir Se Ay Huay Log Jo Keh Ghar Se Boht Door Hotay Hain Un Kay Dukh Kya Hotay Hain)

Mein sochnay lga keh Atta Ullah Sahib ko kese pta chala keh meray sath esa hi ho ga…..

Noor Pur Thal......... Episode # 1

 

EPISODE # 1

1.Safar Ki Wajah


Friday ki subh mein training( mein B_Tech Engineering kr rha hon to us k lye industry

mein trainings krna hoit hain) pr janay ki tyari kr rha tha keh chota bhai Abdullah room
mein aya or bola “bhai abu bula rhay hain”( mene socha yeh abu ko bhai kb se kehne lg gya)…. Meri 5 senses ne foran kam karna shuru kr diya keh ya Allah kher ho or mein yad krnay lga keh subh se ab tk koe ghlat kam to sarzad nhi ho gya muj se (kyo keh rat ko to abu ko good night keh kr soya tha or koe esi wesi bat nhi thi) jo ke na chahtay huay bhi ho jata hay… bahrhal darbar_e_walid mein pesh hua.. walda Malka_e_Aaliya ki trha sath hi behti thein…
( Mein btata chalu keh walid sb is my best friend. Lekin adab aadaab apni jaga lazmi hesiyat rakhta hay. Wohi bat hay keh khilatay sonay ka niwala hain lekin dekhtay sher ki nazar se hain)
Abu: kal kya kr rhay ho?
Mein: future ka hal to sirf Allah hi janta hay(ye mene dil mein kaha)… ji kuch khas nhi…
Abu: meray dost Muhammad Khan Rahdari ko to jantay ho na?
Mein: ji bilkul janta hon…(hala,k mein kehna chahta tha keh wohi Charlie chaplen ki moochu walay.. un ki moochain esi hi hain)
Abu: un k 2 betu ki kal shadi hay itwar(Sunday) ko..
Mein: becharay ….
Abu: kya matlb?
Mein: jo qaid ho rhay hain unko kaha hay..
Maa: (jin ko fikr rehti hay abi se potay potiyo ki..kyo keh who meri wja se marz_e_wajood mein ayein gay kyo keh I m elder).. mein to kehti hon isay bhi qaid kr dein
Mein: ami mje sharm aati hay aap abu k samnay esi batain ni kiya krain..
Abu: (jo hmesha mje non_serioius attitude ki wja say dantay hain) ab phr apni harkatu pr na utr aana or tm ne shadi attend krni hay..
Mein: (minnat bhari nazru se Maa ko dekhtay huay) kya mera jana zruri hay?
Abu: (Sher ki nzr se dekhtay huay) kyo tm kyo nhi ja sktay?
Mein: mein to wese hi poch rha tha…
Abu: koe msla hay to bta do?(Aakhir dost hain na to kuch khyal to dosti ka bhi rakhna prta hay unko).. nhi to behtar hay keh tm hi jao…
Mein: thek hay mein hi chala jata hon.

To phr mein training pr chala gya.. kpray waghera ready hi rehtay hain meray Army k hathyaru ki trha keh ksi waqt ksi bhi Mahaz pr jana pr skta hay is lye unki tension nhi thi…


Saturday ko chutti Mari training se.. dil tha keh early in the morning niklu ga lekin aik or kam bhi meray zimma lga diya gya walid sb ki taraf se to mein us ki wja se kafi late ho gya… Dilawaiz Aizaz kay sath usi din gap shap lgi… mje wo is lye achi lgti hain keh Dil jo hain wo Aquarius hain or meray walid sb ka bhi yehi sign h..


You,n dosto mein about 2:00 pm apni city Jauharabad se rawana hua Noor Pur Thal janay k lye…or phr 2:30 ghantay kay safar kay baad mein Noor Pur Thal Pohnch gya… 9 sal baad.. je han mein 9 sal pehlay aya tha idr or ab gya tha….hala,k idr hmari zmeenain bhi hain…


Pr rastay mein kya kya hua… yeh intehai interesting hay…. Rastay mein jo kuch hua wo bhi aap ko btaou,n ga or sath sath aap ko Noor Put kay baray mein information bhi du ga…. pr aap ko is hanstay , khikhilatay , muskuratay. Safar namay ki next episode ka wait krna pray ga jo keh asal safar nama ho ga…. Full of Thrill……….