Wednesday, September 29, 2010

Noor Pur Thal......... Episode # 2



Gari mein betha hi tha or ye soch kr betha tha keh QUDRAT KAY JITNAY BHI HASEEN NAZARAY hain un ko apni aankhu mein samo lu ga kyo keh ho skta hay waha,n pr ese cheezain na milain dekhnay ko is lye mein pooray ghor se ird gird ka MUSHAHIDA knay lga or sath saht SUBHANALLAH ka wird bhi jari rakha…
*Mard Hazrat is wird ko khoob smjtay hain…

Abi mushahida krnay mein busy hi tha keh mobile ki ring tone ne Wird mein khalal dal diya..dekha to mbl ki screen pr likha tha YA ALLAH KHER… aap bhi soch rhay hon gay keh kafi ajeeb nam se number save kiya hua hay is ne, lekin raaz ki baat yeh hay keh wo call walid sahib ki taraf se thi. Or ye nam is lye rakha kyo keh walid sahib mje call boht km hi krtay hain or jb bhi krty hain koe dhamaka khez khabar hi hoti hay… (walid sahib ko bhi pta hay keh mene is nam se un ka num feed kiya hua hay)

Drtay drtay call rcv ki to walid sahib frmanay lgay…

Dad: Ghr wapis aa jao….kyo keh Noor Pur se Rahdari( ye us elaqay ka nam hay jaha,n mene jana tha or ye caste hoti hay) k lye jo wagon milti hay us ka last time 4:00PM hay or tm nhi pohnch sko gay…

Mein: abu mein sari kashtiya jala kr nikla hon is lye mein wapis nhi aa rha or gari mein seat pr behta hon ( or qudrat kay haseen nazaru ko dekh rha hon *pr kaha nhi) …
Meri is bat pr walid sahib ne kuch na_zeba alfaz use kiye or call kat di.. hala,k na_zeba ka mtlb ye nhi hay keh unhu ne Allah maaf kray gali di ho bal,k wo kuch technical kisam k alfaz hotay hain jo keh walid sahib meri shan mein aksar irshad frmatay rehtay hain hisb_e_zrurat…. Or agr walid sahib ye alfaz use na krain din mein km se km aik bar to mje shak prnay lagta hay keh ye meray walid nhi hain.. or ye alfaz aap ko bta to deta lekin mein apni koe kmzori Dushmanu oh sorry mera matlb hay keh Batool or us k group ko nhi dena chahta..

Thori der baad hi gari start hui.. gari HIACE thi.. wo choti wali DIBBIYA si gari.. mein right side walie corner ki seat pr tha….meray sath wali aik seat khali thi.. jese hi gari harkat mein i to aik bazurg bhi harkat mein aye or peechay se phalang kr meri sath wali seat pr aa kr beth gay(jinhu ne HIACE kay safar ka mza chakha hay wo khoob jantay hon gay keh last seat walay passengers kesay utartay or charhtay hain).bazurg bethay hi thay keh unhu ne Rola dal diya keh mera pota bhi meray sath hay wo samnay khara hay.. mene bhi udhr hi dekha to mje koe pota nzr na aya. Lekin aik muj se koe 3,4 sal chota jwan jahan larka nzr aya(mein smja keh koe 3,4 sal ka bacha ho ga) jo keh pta nhi kis trha se sawar hua or apnay dada ki GOADI mein beth gya…. Conductor ne bazurg ko kaha keh hm isay seat de detay hain to bazurg bolay nhi ye meray sath hi jye ga… ab becharay potay ka hal ye tha keh us ka sir chat pr lag rha tha is lye wo jhuk kr betha tha or neechay say DADA ABBU ki instruction k mutabiq apni directions change kr rha tha jis se mje sakht tension ho rhi thi…mje pta chal gya tha keh is SAFAR ko SUFFER krna prya ga…..Pr mein apni adat k khilaf chup hi rha…


Gari jese hi rawana hui mera mind bhi AUTO pr fix ho gya… kyo keh safar mein hmesha aik to mein window wali side bethta hon ta k bahir k nazaray dekh sku or phr sochu ka tasalsul shuru ho jata hay… kbi koe soch mazi ki kbi koe soch… kbi bachpan udas kr jata hay to kbi bachpan ki koe shararat hansi le aati hay…to isi liye kaha keh mera mind AUTO pr fix ho jata hay keh bahir k nazary bhi or sochain bhi khud ba khud chalti rehti hain…


Mosam thora garm tha lekin bht zyada grmi nhi thi…


Meray zehn mein pehli soch jo i wo 9 sal pehlay ki thi jb hm poori family Noor Pur Thal ki aik or sub city SIDHA(urdu mein SEEDHA) gay thay…us waqt bhi kafi enjoy kiya tha..us time ka aik special waqea meray zehn mein ab bhi hay or ab bhi kbi kbar ghar walay us ko yad kr bethtay hain .. hua yeh keh mera chota bhai Abdullah un dinu 2 sal ka tha or jaha,n ham gay thay un ki aik bchi bhi 2 sal ki hi thi… Sardiyo k din thay.. Barat Raat kay waqt Sidha say Rahdari(jaha,n ab mein gya) jani thi… ab Abdullah or us choti jis ka nam Mishal hay ko aik hi bari si charpai pr lita diya gya kyo keh dono so rhay thay(un dinu mein bhi SIDHA mein light nhi pohchi thi or ab bhi nhi hay).… jb barat ki rawangi ka waqt aya to Mishal k abu ne Mishal ko uthaya or sath lay gay… Meri ami nhi gyein thein barat k sath lekin wo us time udr nhi thein jb Mishal k abu ne usy uthaya tha to… jb barat rawana ho gy to aadhay ghntay baad Abdullah ne rona shuru kr diya.ami heran reh gyein k Abdullah ki awaz ko kya ho gya hay.. ami ne dekha to wo Mishal thi or Abdullah Rahdari pohnch chukka tha…


Noor pur kay baray mein aap ko btata chalu keh Pakistan ka sb se bra Sehra “THAR” hay jo keh Sindh mein hay or Multan side pr bhi hay… phr 2sray number pr THAL hay… Noor Pur Thal bhi isi ka aik hissa hay.. Noor Pur Main city hay jb keh is k sath choti choti mzeed cities hain jin ko aap sub_cities keh lain… jese keh Sidha, Rahdari. Peelo vaince etc… Pakistan ka Main Atomic Power Plant bhi isi jga hay or jahan hay us jga ka nam RODA hay…. Noor Pur ka elaqa District Khushab mein aata hay lekin Noor Pur aik Tehseel bhi hay…


Abhi isi soch mein gum hi tha keh driver ne song lga diya SAJNA NE PHUL MAREYA(Sajan Ne Phool Mara)…. Ye Thal kay hi local singer ka song tha or us lehjay mein nhi tha jis mein ye song mash,hoor hay lekin bra hi zbrdst tha.. mein sochnay lga keh Thal mein PHOOL kaha,n,,,waha,n to sirf Kaantay hotay hain…. To phr Thal kay SAJAN kya martay hon gay aik dosray ko????????


Soch ka rukh aik bar phr change hua to mein sochnay lga keh gari or zindagi mein koe fark nhi hota… gari bhi zindagi ki trha hi hoti hay.. musafir apni bari pr aatay hain, safar guzartay hain or manzil pr utar jatay hain…

Phr dimagh ne kaha nhi yar Mustafa gari ruk jye to phr chal prti hay pr zindagi………….

Inhi sochu mein gum gari ne aik morr kata or jese sara manzar hi badal gya…morr se pehlay haray bharay darakht thay or morr kay baad door tk rait hi rait… or kahi door darakhtu kay jhund…jese ikathay ho kr aik dosray ki tanhai ko door krnay ki koshish kr rhay hon… dimagh ne phr Tahoka (Narm sa Jhatka) diya keh zindagi mein bhi to isi trha kay morr aatay hain achanak hi jo zindagi ko change kr detay hain.. bnda kya hota hay or kya ho jata hay? (is safar mein shayad ZINDAGI sawar thi meray mind mein)…


Thal ki aik khas baat ye hoti hay keh yaha,n ka mosam bra hi ajeeb hota hay… aap din mein ayein yaha,n pr garmiyo,n mein to thanday ilaqay k log to wese hi be_hosh ho jyein kyo keh jb rati tapti hay to phr har taraf inteha ki grmi ho jati hay lekin phr jab rat hoti hay to itni thand hoti hay keh razai k baghair bnda so bhi nhi skta chahay jitni bhi grmi kyo na ho din mein….


Or phr sehra ki raat…. Oh meray Khuda…. Meray pas alfaz nhi hain sehra ki raat ko byan knay kay…. Aasman saaf ho to phr taray hi taray… dheru dher taray… Twinkle Twinkle Little Stars.. hm to aasman ko thek se dekh bhi nhi patay keh kahi na kahi koe building aa jati hay…..Sehra mein aasman ka mza hi or hota hay…. Mene 9 sal pehle dekhi thi sehra ki raat lekin abi tk mein us kay sehar se nikal nhi paya…


Rastay mein 1,2 jagah gari ruki.. musafir utray,kuch charhay or aakhir kar hm pohnch gay Noor Pur… lekin yeh kya… time dekha to 4:30PM ho rhay thay… yani keh mein Aadha Ghanta late ho chukka tha or samnay Pan Shop pr song chal rha tha Atta Ullah Sahib ka(Famous singer of Pakistan belongs to Mianwali)


Tusa Watna Walay Ki Jano, Ki Honday Nay Dukh Perdesiya De..

(Tm Watan Walay Kya Jano Keh Bahir Se Ay Huay Log Jo Keh Ghar Se Boht Door Hotay Hain Un Kay Dukh Kya Hotay Hain)

Mein sochnay lga keh Atta Ullah Sahib ko kese pta chala keh meray sath esa hi ho ga…..

Noor Pur Thal......... Episode # 1

 

EPISODE # 1

1.Safar Ki Wajah


Friday ki subh mein training( mein B_Tech Engineering kr rha hon to us k lye industry

mein trainings krna hoit hain) pr janay ki tyari kr rha tha keh chota bhai Abdullah room
mein aya or bola “bhai abu bula rhay hain”( mene socha yeh abu ko bhai kb se kehne lg gya)…. Meri 5 senses ne foran kam karna shuru kr diya keh ya Allah kher ho or mein yad krnay lga keh subh se ab tk koe ghlat kam to sarzad nhi ho gya muj se (kyo keh rat ko to abu ko good night keh kr soya tha or koe esi wesi bat nhi thi) jo ke na chahtay huay bhi ho jata hay… bahrhal darbar_e_walid mein pesh hua.. walda Malka_e_Aaliya ki trha sath hi behti thein…
( Mein btata chalu keh walid sb is my best friend. Lekin adab aadaab apni jaga lazmi hesiyat rakhta hay. Wohi bat hay keh khilatay sonay ka niwala hain lekin dekhtay sher ki nazar se hain)
Abu: kal kya kr rhay ho?
Mein: future ka hal to sirf Allah hi janta hay(ye mene dil mein kaha)… ji kuch khas nhi…
Abu: meray dost Muhammad Khan Rahdari ko to jantay ho na?
Mein: ji bilkul janta hon…(hala,k mein kehna chahta tha keh wohi Charlie chaplen ki moochu walay.. un ki moochain esi hi hain)
Abu: un k 2 betu ki kal shadi hay itwar(Sunday) ko..
Mein: becharay ….
Abu: kya matlb?
Mein: jo qaid ho rhay hain unko kaha hay..
Maa: (jin ko fikr rehti hay abi se potay potiyo ki..kyo keh who meri wja se marz_e_wajood mein ayein gay kyo keh I m elder).. mein to kehti hon isay bhi qaid kr dein
Mein: ami mje sharm aati hay aap abu k samnay esi batain ni kiya krain..
Abu: (jo hmesha mje non_serioius attitude ki wja say dantay hain) ab phr apni harkatu pr na utr aana or tm ne shadi attend krni hay..
Mein: (minnat bhari nazru se Maa ko dekhtay huay) kya mera jana zruri hay?
Abu: (Sher ki nzr se dekhtay huay) kyo tm kyo nhi ja sktay?
Mein: mein to wese hi poch rha tha…
Abu: koe msla hay to bta do?(Aakhir dost hain na to kuch khyal to dosti ka bhi rakhna prta hay unko).. nhi to behtar hay keh tm hi jao…
Mein: thek hay mein hi chala jata hon.

To phr mein training pr chala gya.. kpray waghera ready hi rehtay hain meray Army k hathyaru ki trha keh ksi waqt ksi bhi Mahaz pr jana pr skta hay is lye unki tension nhi thi…


Saturday ko chutti Mari training se.. dil tha keh early in the morning niklu ga lekin aik or kam bhi meray zimma lga diya gya walid sb ki taraf se to mein us ki wja se kafi late ho gya… Dilawaiz Aizaz kay sath usi din gap shap lgi… mje wo is lye achi lgti hain keh Dil jo hain wo Aquarius hain or meray walid sb ka bhi yehi sign h..


You,n dosto mein about 2:00 pm apni city Jauharabad se rawana hua Noor Pur Thal janay k lye…or phr 2:30 ghantay kay safar kay baad mein Noor Pur Thal Pohnch gya… 9 sal baad.. je han mein 9 sal pehlay aya tha idr or ab gya tha….hala,k idr hmari zmeenain bhi hain…


Pr rastay mein kya kya hua… yeh intehai interesting hay…. Rastay mein jo kuch hua wo bhi aap ko btaou,n ga or sath sath aap ko Noor Put kay baray mein information bhi du ga…. pr aap ko is hanstay , khikhilatay , muskuratay. Safar namay ki next episode ka wait krna pray ga jo keh asal safar nama ho ga…. Full of Thrill……….