Friday, October 22, 2010

Last Episode...





                                                               Last Episode


Tail (oil) mein chupray Baal(hair),side se nikali hui maang, surmay se bhari aankhain, sada say kapray..
Ye hain thal k log… thal ki zban mein Punjabi or Saraiki dono ka mza hay…
Mein un ko call krnay lga jin ki shadi mein shirkat krni thi… lekin signals kay problem ki wja say call bar bar cut jati thi…

mein isi koshish mein masroof tha keh awaz i… Maasi aala kyo preshan ho? (Khala kay betay kyo preshan ho).. jis trha hm czn kehtay hain ya phr dost kehtay hain waha,n pr rishtay ka naam le kr pukara jata hay or jo na waqif hotay hain un ko maasi aala keh kr pukaray jata hay zyada tar.. wrna PHUPHI AALA, CHACHI AALA bhi aam alfaz hain waha,n pr… ye un Noor Pur k pur khaloos logu kay Khaloos ki aik halki si jhalak hay…

mene us ko btaya keh yeh msla hay to us ne muj se pocha keh kon sim use kr rhay ho.. mene kaha Ufone(ufone.. Tm hi to ho..jis ki wja say mein khwar ho rha hon) to us ne apna cell mje diya keh yaha mobilink chalta hay… mene us k cell se call milai,, mill gai,,, to waqif jin ka naam Abdulhaq tha ( or abi tk hay) ne call attend ki…bolay kahan ho.. mene kaha adday pr.. kehtay keh HAMZA medical store pr chaly jao or waha,n wait kro mein bike bhejta hon… mene kaha thek hay… mbl mene Maasi Walay ko wapis kr diya or us se us ka Cell No. manga.. jo keh us ne de diya.. mene sath hi aik mbl ki shop se us ko credit send kr diya…. Kyo keh agr mein us ko brah_e_rast pese pakrata to wo isay apni toheen smjta… mein dukan se nikla hi tha keh wo phr hazir ho gya… us ka nam Asghar tha..
Asghar: Tusa A Kay Zyati Keeti Hay? ( aap ne ya kya zyadti ki hai)…
Mein: kya hua?( Mein jan bojh kr anjan bn gya)
Asghar: Tusa men balanca kyo ghalleya? ( aap ne mje balance kyo bheja)
Mein: yar mene to koe balance nhi bheja tme? Tme ghalt fehmi ho gy ho gi… ( mje mjbooran jhoot bolna pra nhi to wo bnda mje pese deta balance kay tb chorta)..
Asghar: tusi perdesi ho is wastay mein tuadi gal da yaqeen kr ghinda,n nhi ta men shak tuaday tay hay.. ( aap perdesi ho is lye mein aap ki bat ka yaqeen kr leta hon nhi to mje shak aap pr hay)..
Mein us say galay mila or us ko Allah Hafiz keh kr aagay barh gya kyo keh mein ab mzeed jhoot bolnay k chakar mein bilkul nhi tha…

abi thora hi aagay gya tha to dekha keh aik sahib ka right hand tha hi nhi or wo pikoray tal rhay thay… meray pait ne bhi ehtejaj krna shuru kr diya kyo keh lunch kiya nhi hua tha is lye mene us se pikoray lay lye or kya mazay dar pikoray thay woh.. mein bta nhi skta… shayad us shakhs k dosray hath ka taste bhi us k aik hi hath mein muntaqil ho gya tha….  Allah ki hikmat hay keh ksi mein agr koe Aib hota hay to us mein koe na koe khas khoobi bhi zrur hoti hay…
Mein aagay gya to 4 medical stores sath sath hi thay… or un medical stores kay samnay Thal ki Famous Mithai White Laddu bnaye jar hay thay… ye hotay to Khastay( Pink color ka laddu jo keh dehatu mein aam paye jatay hain) ki trha hain lekin in pr cream ki teh charhai jati hay jis ki wja se in ka color white ho jata hay or Thal kay logu ki khas sweet hay ye white laddu…

Mene namkeen( Pikoru) kay baad meethay ki sunnat pr amal krna munsib smja or 3 taza taza laddu nosh frma geya… woh bhi boht tasety thay…
mene dukandar se pocha keh Hamza Medical store kidar hay?
Dukandar jo keh drmeyani umr ka tha bola..: puttar mein te kadi sunya e nai aa naa? (beta ye nam to mene pehlay nhi suna)
Mein un ka shukriya ada kr k jese hi wapis mura meri hansi nikla gy… Hamza medical store us ki dukan kay bilkul samnay hi tha…
Mene dukandar se pocha keh ye kon sa medical store hay to kehna laga keh ye to Haji Ashraf ka sotre hay…
Mein: yehi to Hamza medical sotre hay.
Dukandar: pta nai puttar saray haji sahib da e aadhay hin… ( pta nhi beta saray haji sahib ka hi kehtay hain)..
Mene dukandar ka shukriya ada kiya or medical store mein dakhil ho gya… aik larka kisi mareeza ko injection lga rha tha… mene baad mein us se pocha to kehnay lga keh metric pas hon or Haji sahib ne mje ye sb sikhaya hay…  mje Haji sahib ki qabliyat pr bhi shk tha pr aik to mein un ka mehman tha or 2sra yeh pooray Pakistan ka masla hay keh hamray mulk ka har idara NEEM HAKEEMO ki grift mein aya hua hay siwaye Pak Army kay…
Kafi der intezar kay baad aik 125 store kay bahir aa kr ruka.. us se jo shakhs utray wo meray lye na_waqif thay.. bahrhal wo wohi thay jin kay sath mene aagay ka safar krna tha.. (aagay k safar se murad yeh keh shadi walay ghr tk ka safr…. mulkul mot nhi thay wo)…
Rastay mein un say gap lagi… un ka name Iltaf tha young se thay or wo aik Government k training School k principal thay. Rastay min un se kafi batain hui… batu ko chorain mein to un k bike chalany ki wja say heran tha… thal mein choo,k rait hi rait hoti hay is lye waha cycle ka to tasawur bhi nh kiya ja skta… mein shehr ki nhi dera jat ki bat kr rha hon.. shehr mein to kafi facilities hain lekin shehr kay aas pas jo elaqay  hain waha,n pr cycle use nhi ki ja skti… altaf bhai ki hi himat thi keh wo 125 ko full speed mein bhagatay huay lay ja rhay thay or sath control bhi kr rhay thay kyo keh bike sath sath slip bhi ho rhi thi rait pr.. or mje fikr thi to sirf  itni keh girnay ki soorat mein meary kapray khrab ho jyein gay ya Khuda na khwasta meray jism ka koe hissa bike kay neecahy aa jye ga wrna mje chot ki koe prwah nhi thi,,rait thi na har tarf…
mein soch rha tha keh pehlay rait ka jahaz camel ko kaha jata tha or ab 125 ko bhi kaha ja skta hay.. kam power k engine  walay bikes bhi yaha,n kamyab nhi hain….rastay mein aik jga kuch ziada hi slip lgi to hm jo keh west mein ja rhay thay hmaray rukh north ko ho gya.. action movie wala stunt tha wo bhi…
jese tesay kr kay waha,n pohncha… sb se pehlay waha,n un sahiban ko mila jin ki shadi pr aya tha pr dono dulhay bhaiyo se mulaqat hoi.. dono ki shadi ikathi hi ho rhi thi.. 2nu ne silk ki red shawls oorh rakhi thein.. jese sardiyo mein lokar ki jati hay.. or sath mein un k aik KHOONDI( lathi type hoti hay ye.. jese keh bazurg hazrat kay hath mein hoti hay… farq ye hota hay keh wo wood ki hoti hay or ye lohay ki)… isay Punjabi mein KHOONDI kaha jata hay(urdu mein LATHI).. is ka maqsad ye hota hay keh dulha bad nazar se mehfooz rahay….
Is khoondi ka aik or dilchasp khel hota hay… pehli bat to yeh keh har dulha kay sath kam se km 3 SHAHBALAY hotay hain… wo is khoondi ko apnay pas rakhtay hain.. ab dulha or shahbala kay elawa shadi mein jitney log hotay hain wo isi koshish mein hotaya hein keh kisi tareeqay say is khoondi ko hasil kr liya jye… kbi wo maintain krtay hain to kbi koe heela krtay hain,.. kyo keh jo is khoondi ko un se hasil kr leta hay wo apni marzi ki koe shay us se wasool krta hay jis k pas khoondi hoti hay… or usay deni prti hay.. is lye baaz oqat to jis k pas khoondi hoti hay wo sota hi nhi hay… bara maza aata hay..  mene bhi try ki lekin na je.. L…..
Mein sb se mil kr nahanay k lye chala gya.. fresh ho kr aya to khanay khaya geya or phr kuch der mein dheru dost ban chukay thay jin kay sath batu mein waqt ka pta hi nhi chala or rat kay 12 ho gay… itnay mein aik bazurg ne kaha keh ab so jao sb.. to hmarai mehfil barkhwast ho gye or hm chalay gay sonay.. new jaga pr nened km hi aati hy. Mein charpai pr leta or apni the best night ko enjoy krnay lga.

bilkul saf aasaman. aasman taru se full.. door door tk taray hi taray….roshan.. timtimatay huay…jese aasaman pr in taru ko undail diya gya ho.... or chanda mamu baray fakhar se apni chandni undail rhy thay aasman pr.... mein in taru or chand mein kho geya or achanak meri mehwiyat us waqt tooti jb mene bansuri ki awaz suni…  or  mein kho geya us bansuri ki awaz mein.. na janay kia tha keh khud ba khud aankhu se aansu nikalnay lagay…suna tha keh saz ka ta.alluq instrument k sath nhi us k bajanay walay k sath hota hay or mein is ka practically muzahira dekh rha tha…. ajeeb time tha wo bhi…jese saray mahol pr kisi ne sehr kr diya ho. waqt ruk gya ho..  bs 3 hi cheezain hon.. taru bhara aasman…roshni lutata chand…. ya phir bansuri ki awaz…

Mein utha or us tarf chal diya ya shayad us bansuri ki awaz ne apni taraf khech liya… dekha to aik andazan 35 se 40 ki drmayni age ka aadmi nehayat mehviyat k sath har cheez se be_niyaz bansuri se mahol ko madhosh kr rha tha khud to wo tha hi mad,hosh… thal ki moseeqi ka aik song tha… mene nusrat fateh ali khan ki awaz mein bhi suna pr is bansuri k sath or live sun,nay ka maza hi or tha….
A ATHRA ISHQ NAI SON DENDA, SARI RAAT  JAGAI RAKHDA A
(ye shararti ishq sonay nhi deta.. sari rat jaga kr rakhta hay)…
Shayad usay bhi ksi k  ishq ne jagaya hua tha…. Thori der baad us ne ye SEHR phoonkna band kiya or kapray jharta hua khara ho gya…
mene pocha chacha je tuan kis de ishq jagaya hoya a…( aap ko kis k ishq ne jagaya hua hay)…
wo jese khud say hi hm kalam hua or bola…. Ishaq jisday nal v hovay, jaga k rakhda a.. ishq te nender di dushmani babay aadam tu lay kay qemayat tk rahsi… wanj tu sain wanj…( ishq jis k sath bhi ho, jaga kr rakhta hay. Ishq or nend ki dushmani hazrat aadam se lay kr qeyamat tk chalay gi…jao tm so jao)
or phr mje smj nhi i keh mein kese charpai tk pohncha…
subh utha to mein us jaga pr geya jahan se mene awaz suni or mein heran tha keh mene itna fasla kese tay kr liya..medani elaqay miein shayad wo fasla ziada na ho lekin retalay elaqay mein meray jese bnday k lye chalna bhi asan nhi hota… shayad mje ishq ka sabaq milna tha is lye. Mgr kyo…mein hi kyo… or isi kyo ka jwb ka jwb to insan ko uljha deta hay… isi kyo kay hi saray maslay hain .. mein bhi is maslay mein abi tk uljha hua hon..kehtay hain taqdeer ka koe kam muslehat se khali nhi hota to na janay kon si hikmat thi meray liye is sabaq mein….??????????????????????????bahrhal jo bhi tha kisi afasnvi novel ki trha hi mehsoos hua or ab bhi koe sapna hi lagta hay mje wo sb.. pr wo haqeeqat thi….
Aglay din shadi ki taqreebat shuru hui,n… shadi mein koe dhol wagera nhi thay kyo keh kuch din qabl sath walay deray pr koe fotgi hui thi to us ki wja say dhol waghera ka ehtemam nhi kiya gya tha… ye aik or misal hay un sada logu k bhai charay ki nhi to mein un logu se bhi waqif hon jin ko apnay  prosi ka naam tk nhi maloom or wo aik dosray k sath 10 saalu se reh rhay hain,, kia aap yaqeen krain gay.. nhi na..  pr krna prta hay.. ye isi dunya ki batain..
Bahrhal shadi ki taqreebat se farigh ho kr wapisi 2 bjay kay waqt hui.. sb se mila or wapsi k lye rawana ho geya… wapsi ka safar taractor pr hua……  adday pr pohncha… gari mein betha or 3 ghntay k safar ka baad apnay joharabad  k aaday pr tha lekin is wapsi k safar mein meray sath wo bazurg nhi thay jin ki goad mein un k jitna hi pota tha….

No comments:

Post a Comment